Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Some Ahadith regarding marriage

Go down

Some Ahadith regarding marriage Empty Some Ahadith regarding marriage

Post by Fida wal muqawamah Tue Jul 15, 2008 4:10 pm

[[b][u]size=18][b][u][size=12][b][u]NIKKAH KI FAZILAT AUR USKE ADAB, KUNWARA RANE KI MUMANIYAT:

Hazrat Rasul e Khuda (saws) ne farmaya:“Jo shaks iflas o pareshani k dar se nikkah na karta ho is mei koi shak nai k wo khuda se badguman hai kionke Allah talah fermata hai, ‘yani agar wo faqir hon ge to khuda apne fazl se unhe gain karde ga’.”

Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (as) ne farmaya:“Ayal dar ki do rakat namaz kunware shaks ki satr rakaton se behtar hai.





AURTON KI QISMEI AUR UN MEI SE ACHI AUR BORI KON KON SI HAIN?

Hazrat Imam Jaffar e Sadiq(as) ne farmaya:“Jo shaks maal o husn o jamal k liye nikkah kare ga wo dono se mehroom rahe ga aur jo shaks parhaizgari aur deen k liye nikkah kare ga Allah us ko maal b dega aur jamal b.”

Hazrat Rasul e khuda (saws) ne farmaya:“Meri ummat mei se behtar aurat wo hai jis ka husn sub se ziada ho aur mehr sub se kam ho.”

A STORY: Aik shaks Hazrat Rasul Allah (saws) ki khidmat mei hazir howa aur arz kiya: meri zoja is qism ki hai k jab ghar mei ata hon to mera istaqbal karti hai jab bhar nikalta hon to darwaze tak pohanchati hai, jab mujhe gamgeen dekhti hai to daryaft karti hai k kiya fikar hai? Aur kehti hai k agar fikar e maash hai to khuda tumhari aur sub bando ki rozi ka kafil hai aur agar akhirat ki fikar hai to kuda is fikar ko aur ziada kare. Anhazrat(saws) ne irshad farmaya:“ Ye aurat intehai khush nasib aurton mei se hai jitna ajar kisi Shaheed ko mil sakta hai us se nisf usey mile ga.





NIKKAH K ADAB:

Hazrat Rasul e Khuda (saws) ne farmaya:“ Valima pehle din zarori hai dosre din koi harj nai aur teesre din riyakari.

Hazrat Amer ul momineen Ali (as) ne farmaya:“ Jumay ka din mangani aur nikkah ka din hai. Ye b jan lena chahiye k nikkah mei logo ko bolana, unko khana khilana aur aqad e nikkah se pehle khutba parhna sunnat hai.

Hazrat Imam jaffar e Sadiq(as) ne farmaya:“ Jo shaks qamr dar aqrab mei nikkah ya shaddi kare us ka anjam acha na hoga.

Hadith mei hai k raat k waqt nikkah karma sunnat hai.

Hazrat Imam Mohammad Baqir (as) ko itlah mili k aik shaks ne din mei aise waqt nikkah kiya hai k garm hawa chal rahi thi. Farmaya:“ Mujhe guman nahi hai k un mei apas mei muhabbat o itefaq ho.” Chonache thore hi arsey k baad jodai hogai.



SOURCE: TAHZEEB ALE MOHAAMAD(SAWS) COMPILED BY ALLAMA MAJLISI(RA) TRANSLATED BY ALLAMA ABID ASKARI (FAZIL QOM) .
[/u][/b][/size][/size][/u][/b][/u][/b]
Fida wal muqawamah
Fida wal muqawamah
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 35
Location : karachi, pakistan
Registration date : 2008-07-04

http://www.hizbollah.tv

Back to top Go down

Some Ahadith regarding marriage Empty Re: Some Ahadith regarding marriage

Post by Fida wal muqawamah Tue Jul 15, 2008 4:16 pm

Salam
Members do read this book if u want further studies!!!
Fida wal muqawamah
Fida wal muqawamah
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 35
Location : karachi, pakistan
Registration date : 2008-07-04

http://www.hizbollah.tv

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum