Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Sargarda-e-Fikar

2 posters

Go down

Sargarda-e-Fikar Empty Sargarda-e-Fikar

Post by HijjabJaffri Tue Mar 25, 2008 3:45 am

Sargarda-e-fikar Ka Mutlab Hota Hai Kise Cheez Kay Baray Main Musalsal Fikar Main Ghaltan Rahna.Aaj Kal Kay Zamanay Main Ya Agar Yeh Kaha Jay To Ghalat Na Ho Ga Kay Jab Say Dunya Takhleeq Hue Hai Us Din Say Lay Kar Aaj Tak Or Najanay Kab Tak Insaan Sargarda-e-Fikar Main Laga Rahay Ga.

Har Insaan Ke Fikar Ka Mahwar Kise Doosray Say Yaksar Mukhtalif Hota Hai.Logon Ke Aksareyat Dunyawe Rahaton Or Dunya Ke NAzar Main Acha Lagnay Ke Fikar Main Lagay Rahtay Hain. Dekhaway Kay Leya Sab Say Bahtreen Ikhlaaq Say Paish Ana Farz-e-Awal Samajhtay Hain.Un Ke Nazar Main Ibadat ka Asal Waqt Burhapay Main Ata Hai,Or Agar Woh Ibadat kartay Bhe Hain To To Sirf Dunya Main Apna Naam Paida Karnay Kay Leya.Aisay Log Islam Main Bhe Apni Marzi Say Tozeh-o-ToSeh Apni Marzi Say Kar Laitay Hain.Dunya He Har Asaish Jaiz Najaiz Tareeqon Say Hasil Karnay Ke Tago Do Main Lagay Rahtay Hain.Sadqa Khairaat Karna In Ke Nazar Main Maal Ka Neya Hai Apni Dolat Ko Barhanay Kay Leya Har Terha Kay Buray Kaam Kartay Hain. Har Rishtay Ko Dolat Ke Tarazu Say Toltay Hain.un Kay Nazdeeq Is Dunya Main Dolat Say Ziada Azeez Or Dolatmand Say Ziada Qabil-e-Izat Or Koi Nahin. Aisay Log Sirf Or Sirf Din Or Raat Chamkanay Ke Koshesh Main Lagay Rahtay Hain.

In He Logon Kay Baray Main Quran Pak Main Khuda Bari Tala Farmata Hai Kay Jo Log Dunya Ke Chaka CHond Main Sar Say Paon Tak Doob Jatay Hain Jin Ko Akhrat Ka Bilkul Khayal Nahin Hota Or Agar Koi Unhain Nasehat Karna Bhe Chahay To Us ko Tanqeede Nazar Say Dakhtay Hain Un Kay kano Main Lohay ka Seesa Pighla Kar dala Jay Tab Bhe In Per Kuch Asar Nahin Hoga.
HijjabJaffri
HijjabJaffri
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 10
Age : 55
Registration date : 2008-03-02

Back to top Go down

Sargarda-e-Fikar Empty Re: Sargarda-e-Fikar

Post by Ykazmi Tue Mar 25, 2008 3:56 am

well done.
Keep continue posting like this.
Meri dua hai ke allah app ke rehnumaie karye.
Ykazmi
Ykazmi
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 81
Location : Khairpur, Sindh
Registration date : 2008-03-05

Back to top Go down

Sargarda-e-Fikar Empty Re: Sargarda-e-Fikar

Post by HijjabJaffri Tue Mar 25, 2008 4:09 am

Bohot Bohot Thanks Tareef

Karnay or Duain Dainay Ka

Bas Aap Logon Ke Duaon Ke

Zaroorat Hai
HijjabJaffri
HijjabJaffri
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 10
Age : 55
Registration date : 2008-03-02

Back to top Go down

Sargarda-e-Fikar Empty Re: Sargarda-e-Fikar

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum