Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Taleem Kay Asraat

3 posters

Go down

Taleem Kay Asraat Empty Taleem Kay Asraat

Post by HijjabJaffri Fri Mar 07, 2008 3:38 am

[/i][c
Taleem Dar Asal Apni Posheeda Salaheyaton Ko Ujagar Karnay ka Naam Hai.Taleem Hasil Karna Hum Sab Kay Leya Lazim-o-Malzoom Hai Khwa Who MArd Ho YA Aurat, Khud HAzoor(s.a) Nay Taleem Kay Mutaliq farmaya Hai Kay Taleem Hasil Karo Chahay Is Kay Leya Tumhain ‘’Seen He Q Na Jana Paray.(Seen Sham Kay Mulk ka Qadeeme Naam Tha). He Kiyon Na Jana Paray.

Taleem Hasil Karnay Kay Bohot Say Fawaid Hain.Is Say Aap Main Achay Buray Le Agahe Ati Hai,Shaur Paida Hota Hai Or Acha Sochnay Samajhnay Ke Salaheyaton Main Izafa Hota Hai.

Kuch Logon Ke Soch Taleem Hasil Karnay Kay Baad Yaskar Mukhtalif Hote Hai.Un Kay Khayal Main Who Chand Digreyan Hasil Kar Kay Apni Buraeyon Ko Achayon Main Shumar Karwanay Main Kamyaab Ho Jayain Gay.Aisay Log Digreyan Or Taleem Sirf Doosron Per Rob Or Dabdaba Dalnay Kay Leya Hasil Kartay Hain.Kise Ko KHatir Main Na Lana Anokhi Mantaq Or Apnay He Banae Huay Asool Hotay Hain.Un Kay Nazdeeq Un kay Elawa Or Koi Akalamnd Nahin Hota.Un Kay Mun Say Nikle Hue Har Baat harf-e-Akhir Hoi Or Us Ke Pasdare Karna Baqe Logon Per Farz Hai.Mahafil Main Baith Kar Kam Parhay Likhay Logon Ko Tanqeed Ka Nishana Banatay Hain. Aisay Log Taleem Say Ilm Hasil Karnay Ke Bajae Us Ko Apnay Tor Per Dhalnay Ke Koshesh Kartay Hain.

Jab Kay Taleem Ke Haqeeqat Is Kay Bilkul Baraks Hai.Taleem Ka Mutlab Hai Sula Jo Hona. Na Kay Digreeyon Kay Naam Per Kaghaz Jama Karna.Jo Log Taleem Hasil Karnay Kay Bawajood Nai Rawish Ikhteyaar Karnay Kay BawajoodFarsooda Khayalaat Rakhtay Hain,Ilm-o-Shaur Honay Kay Sath Aqal Ka Sahi Istamal Nahin Kartay Aisay He Logon Kay Leya Kitabon Or Buzurgon Nay ‘’Jahil’’ Jaisa Lafz Istamal Keya Hai.

Aap Kay Ird Gird Bhe Aisay Be Shumar Ala ‘’Taleem Yafta Jahil’’ Hongay Jin Ke Gardanain Un Kay Digreyon Ke Tadaad Kay Hisaab Say Qalaf Lagay Kapron Ke Manind Akre Hue Nazar Ayain Ge. Jinhain Dakh Kar Aap Khwam Khwa Ahsa-e-Nidamat Mahsoos Karain Gay.
olor=blue][/color]

(Hijjab Jaffri)
HijjabJaffri
HijjabJaffri
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 10
Age : 55
Registration date : 2008-03-02

Back to top Go down

Taleem Kay Asraat Empty Re: Taleem Kay Asraat

Post by Ykazmi Sat Mar 08, 2008 6:54 pm

hahahhaha.. No comments..!
Except.. "Thanks GOD im ANGHOOTA CHAAP."

Honestly.. bohat acchi baat ke hai app nay.
I just wanna add some thing.

Bohat say loog itnay DHEET hotye hain, ke Taleem bhi un ka koch nahi beegar paati.

Or Bhari mehfill mey kisi ko Tanqeed ka nishana bana ke bezati ke neeyat rakhna , Azeem tareen JHALAT hai. ayesy Admi ko JAHIL-e-AZAM ka naam deya jaye tu ghalat na hoga.

JAHIL or JAHIL-e-MUTLAQ mey farak hi ye hota hai, ke Jahil wo hota hai jo jannta nahi ho, or JAHIL-e-MUTLAQ wo hota hai , jo Jaan ke bhi JAHILANA ADA BARQARAR rakhye.
Ykazmi
Ykazmi
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 81
Location : Khairpur, Sindh
Registration date : 2008-03-05

Back to top Go down

Taleem Kay Asraat Empty Re: Taleem Kay Asraat

Post by Admin Tue Mar 11, 2008 9:51 pm

Very nice reply, really i luffing here alot after your's edit.. Very Happy
Admin
Admin
Admin
Admin

Number of posts : 333
Age : 38
Location : Karachi, Pakistan
Registration date : 2008-02-29

http://www.masoom-e-asghar.com

Back to top Go down

Taleem Kay Asraat Empty Re: Taleem Kay Asraat

Post by Ykazmi Wed Mar 12, 2008 3:54 pm

Taleem Ourat ka Zaiver hai,
abhi pichlye dino humarye gher Daku ayee, meri BV ka sara zaiver utar ke lay gae.
bass seedhay kan mey aik matric bacha, wo un say na utar saka, ya jaldi mey bhool gae.
Ykazmi
Ykazmi
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 81
Location : Khairpur, Sindh
Registration date : 2008-03-05

Back to top Go down

Taleem Kay Asraat Empty Re: Taleem Kay Asraat

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum