Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

HAZART-EALI ASGHAR (a.s) KI SHAHADAT

Go down

HAZART-EALI ASGHAR (a.s) KI SHAHADAT Empty HAZART-EALI ASGHAR (a.s) KI SHAHADAT

Post by sa jaffry Tue Apr 15, 2008 4:32 am



HAZART-EALI ASGHAR (a.s) KI SHAHADAT

Imam(a.s) k nane Shaheed ALI ASGHAR(a.s) k bare mai mashohoor hai k jab aap shaheed howe to is waqat aap ki umar 6 maa thy. Aap ki walida RUBAB (a.s) thy jo AMRA-E-QAIS ki beti thy. Hazrat SAKEENA(a.s) aap ki pidari aur madri behan thy. Is bache k bare mai alma majlasi jala-e-aleyon thereer farmte hai k baz ulma Mqatil ne is k nam ALI ASGHAR likh hai.

Kitab muntkhib al-tuwareekh mai manqool hai ka ZAYRAT-E-ASHOORA mai zikar howa hai .[


AP ka farzand ALI ASGHAR(a.s) par sallam ho k jis ki shahdat ki wajha se aap par museebat k pahar toot pare.

Hum zail mai IMAM(a.s) k is nane mujahid shaheed ki shahadat ikhtisar k sath suporad qurtas karty hai.

Ghareeb-e- karbala apni choti behan SYEDA UM-E-KULSOOM(a.s) k pas aae aur aap nai farmaya aae meri behan mai aap ko naseehat karta hoon k mere is masoom saheer khuwar farzand ki hifazat karna, kio k ye 6 maa ka hai.

Is laie ye deakh bhal ka mohtaj hai UM-E-KULSOOM nai arz kiya k bhai, is bache nai 3 din se pani nahi piya is qaom-e-jafakar se is k liae pani talub karo.
[color=#ff6600]IMAM(a.s) nai ALI ASGHAR(a.s) ko apne aghosh mai liya aur sipa-e-yazeed ki taraf gae aap ne in ko mukhatib kar k farmaya.

Tum nai mere bhaiyo bhatejho bhanjho aur ashab ko sahaheed kiya in mai faqat ye he masoom baqi rahe gaya hai aur payas ki shisat se prinde ki tarha moon kholta hai aur band karta hai is bache ka to koi Gunha nahi hai mai tumhare pas laya hoon is k lie 2 ghoont pani ka sawal hai.



“AAE QAOM AGAR TUM MERE UPAR REHAM NAHI KARTY TO IS BACHE PAR TO REHAM KARO KAYA TUM IS BACHE KO NAHI DEAKH RAHE K KIS TARHA SHIDAT PAYAS AUR HARARAT SE MOON KO KHULTA HAI AUR BAND KARTA HAI,,



abhi IMAM MASOOM ki guftogo mukamal na howe thi k umar saad k ishare par hurmal bin kahil asadi nai ASGHAR(a.s) ka nazuk gale ko teen 3 shoebe teer ka hadaf qarar diya. Teer MAZLOOM ka gale par peost howa

teer bache k daae rago se le kar baae rago tak aur aik kan se le kar dosare 2 kan tak chedata gaya.



ALI ASGHAR(a.s) ki shahadat IMAM MAZLOOM par is qadar sakhat aur dil soz thi k aap nai sakhat girya kiya aur aap BARGAH-E-ILLAHImai arz kiya k aae KHUDA mere aur qaom-e-jafaqar k darmiyan faisla kar k inaho nai pahele mujhy dawat di k humari rehbari aur rehnumai karo laikin aub mere qutal ka iqdam kar rahe hai’is waqat aasman ki taraf se nida aai.

AAE HUSSAIN(a.s) ASGHAR(a.s) ki fiqar na karo JANAT mai is ko DOODH pilane k liae DAIYA tayar hai

(tazkra tul khawas sibate bin juzi s144)

ye awaz HUSSAIN(a.s) ko hosila deane k liae thi ta k aap is museebat dilsozi ko istqamat se bardasht kar sake.

sa jaffry
sa jaffry
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 19
Age : 39
Location : pakistan karachi
Registration date : 2008-03-03

http://masoom-e-asghar.co.cc

Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum