Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Nazbardari Ya Kotahe

4 posters

Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Nazbardari Ya Kotahe

Post by HijjabJaffri Wed Apr 02, 2008 3:50 am

Bachay Qom Ka Sarmaya Hain.Kise Bhe Bachay Ke Tarbeyat Main Sab Say Aham Kirdaar Us Kay Waldain Ada Kartay Hain.

Amooman Dakhnay Main Aya Hai Kuch Waldain Apni Olaad Say Bay Tahasha Mohobbat Kartay Hain Kay Woh Un Kay Khelaf Koi Burae Bardasht Nahin Kar Saktay.Apnay Bachon Kay Elawa BAqe Bachon Ko Jhoota Or Shararte Samajhtay Hain.School Main Ghalte Karnay PEr Ustaad ke Taraf Say De Gai Bachon Ko Saza Ko Ziadte Ka Naam Daitay Hain,Kise Buzurg Say Zaban Darazi Ko Andaz-e-Mukhatib Kahtay Hain.Gharz Bachay Ke Har Jaiz Najaiz Farmaish Poore Karna Or Un Main Khud Atmadi Paida Karnay Ke Khwahish Main Har Kaam Un ke Passand Or Marzi Say Kartay Hain.
Jis Say Bachay Main Had Say Ziada Khud Atmadi Paida Ho Jate Hai Or Woh Apni Zaban Say Ada Keya Har LAfz Ko Sahi Samajhta HAi Or Apnay Achay Buray Main Tameez Kho Baithta Hai.Jis Say Us Kay Mustaqbil Main Manfi Asraat Muratib Honay Ka So Feesde Imkaan Hota Hai.

Lakin Is Kay Baraks Kuch Waldain Ka Apnay BAchon Say Mohobbat ka Andaaz Is Say Yaksar Mukhtalif Hota Hai.Woh Apnay Bachon Ko Har Shobay Main Kamyaab Dakhna Chahtay Hain.Kise Bhe Terha Ke nakami Un Kay Leya Naqabil-e-Bardasht Hote Hai.Woh Bachay Ke Har Naql-o-Harkat Per Kare Nigah Rakhnay Or Beja Rok Tok Karnay Ko Bahtreen Nigehdasht Gardantay HAin.Mamoole Se Ghalti Karnay Per Bhe Bachon Ko Sakht Saza ka Mustahiq Samajhtay Hain.Bachon Ko Sirf Parhae ,Parhae.Or Sirf Parhae Karnay Ke talqeen kartay Hain.Har Kaam Ke Pabandi Un Per Lazim-0-Malzoom Kar Daotay Hain.
Jis Say Bacha Paband Ho k Rah Jata Hai Or Woh Apnay Aap Ko Pinjray Main Band Aik Parinday Ke TErha Qaid Samajhta Hai Or Woh Is Qaid Say Azadi Hasil Karnay kay LEya Buray Say Bura Kaam Bhe Karnay Kay Leya Hama Waqt Tayar Rahta Hai .Jis Say Mustaqbil Main Us Kay Leya Bohot Ghalat Asraat Paida Hotay Hain Or Woh Khud Atmadi Kho Baithta Hai .
HijjabJaffri
HijjabJaffri
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 10
Age : 55
Registration date : 2008-03-02

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by Hassan Wed Apr 02, 2008 4:58 am

Kaha To Bilkul theek hai apnay Lekin Waldain aap ko Outing k liye Shaid nai le jatey hoon gay Mujhay Lagta hai k aap ko apni zindagi Enjoy Karni Chahiye Aap Internet pe online hotay hai kya yeh Azadi nai Aap apnay friends se school ya acaedmy main miltay hai Yahi Azadai Bari hai aur Aap ko khush hona chahiye k aap k Walidain ka saya aap k Sar par hain Yateem Bachey b hain jo Zamanay ki thokaray kha kha kar Aaj ek Achi Job Par hain Ya Un ka Apna Bussiness Hai Wiladain Jo Karatay hain apni Olaad K Bhalay k liye kartay hain.
Hassan
Hassan
Advanced Member
Advanced Member

Number of posts : 40
Age : 31
Location : Lahore
Registration date : 2008-03-16

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by HijjabJaffri Thu Apr 03, 2008 12:50 am

Zaroori Nahin Hai Kay Agar Waldain Jo Bhe

Kartay HaiN WoH Sahi He Kartay Hain BAaz Oqaat Jis

Terha Bachay Ghalat Hotay Hain us TErha Waldain Kay

Faislay Bhe Ghalat Hosaktay Hain Hum Un Ke Baat To Ya Un

Kay Koi Bhe Ghalat Faisaly Ko Is Leya Bura Nahin Kahtay

Q Kay Woh Waldain Hain Ya HuM Say Baray Hain Ghalti Kise Bhe Insaan

Say Or Kise Bhe Waqt Kise Bhe Umer MaiN Ho sakte Hai
HijjabJaffri
HijjabJaffri
Super Member Member
Super Member Member

Number of posts : 10
Age : 55
Registration date : 2008-03-02

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by Ykazmi Fri Apr 04, 2008 6:10 am

mera khayal hai tarbiyat owlad say pehlay, tarbiyat waldaine hona zaroori hai.
agar walidaine hi ke tarbiyar na hoge tu wo bhala kia tarbiyat kar sakeen gay owlad ke.

beshak waldaine ke mohabat apni owlad say iss qadar hoti hai ke RO-e-razeem pey or koie mohabat iss ke barabri nehi kar sakti.

or shayad mohabat mey ruswaie zaroor hoti hai, iss ka saboot, zarorat parnye per owlad nay hameesha deya hai.
Ykazmi
Ykazmi
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 81
Location : Khairpur, Sindh
Registration date : 2008-03-05

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by Fida wal muqawamah Wed Jul 16, 2008 2:37 pm

Salam,
I totally agree with hijab jaffri... parents per sub se aham zimedari tarbiyat e awlad hai... kabhi kabhar waldain be inteha sakht ho jate hain aur baaz awqat to itne dhile par jate hain k apne ankho se hone wali ghalti ko bacho ki nadani kehte hain... like ykazmi said.. sub se pehle waldain ko is baat ka shawor dena hoga k tarbiyat kis tarah karni hoti hai.. us k mukhtalif marahil kon kon se hote hain.. kitni mohabbat aur kitni sakhti karni chahiye?? bacha agar zidi hai to kia karna chahiye... bacha agar kam bolta hai to kia karna chahiye??? bacho ko naik kese banana chahiye un mei studies ka rujhan kese increase karna chhiye? agar wo borai ki taraf ja rae hon to unko kese rokna chahiye etc etc.... kitna saal ka bacha kis response ka haqdar hota hai???
Sub se important ye baat hoti hai k tarbiyat kab se shoro karni chahiye... kia bache ki paidaish k baad ya paidaish se pehle??? modern science(embryology) ne ye sabit kia hai k bacha jab paida nai hota aur in process hota hai tab i think k 4 th ya 5th month k baad se us mei haring abilities aa jati hain aur us ka brain b differentiate hona shuru hojata hai... at this stage balke us se pehle se hi tarbiyat shuru hojati hai... kabhi ap logo ne is baat per ghor kiya hai k kafir k yahan kafir bacha aur musalman k yahan musalaman bacha kio paida hota hai?ya kabhi is baat per ghor kia hai k kabhi hum ko sone mei ata hai k bohat modern family magar chlid islamic hojata hai maturity k baad.... aisa kion hota hai... its bcoz of genes! agar genes halaku khan ki hon gi to koi na koi halaku hi paida hoga...
Fida wal muqawamah
Fida wal muqawamah
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 35
Location : karachi, pakistan
Registration date : 2008-07-04

http://www.hizbollah.tv

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by Fida wal muqawamah Wed Jul 16, 2008 2:43 pm

moreover agar mother pregnancy k duration mei hollywood aur bollywood ko dekhe gi to baca b hollywood aur bollywood ki hipaidawar hoga.. agar baap mother per ghusa kare ga usko galian dega mare pite ga... to bache ko b kisi ki respect karni nai aye gi... bcoz at the time of birth a child is like an empty paper us per jo chaho ba asani likh sakte ho... aur ye b nai bholna chahiye k bacha chahe paida hogaya ho ya naa paida howa ho in learning process hota hai... wo apni sorroundings se itna kuch sekhta hai k koi haad nai... especially from parents... to parents zidi honnge to bacha zidi.. parents islamic bacha islamic.. prents arrogant bacha arrogant.. parents ill mannered bacha ill mannered... and it goes on and on...
SO I TOTALLY AGREE WITH THAT PARENTS SHOULD HAVE A TRAINING BEFORE DECIDING TO HAVE A CHILD!!!
Fida wal muqawamah
Fida wal muqawamah
Best Of Luck
Best Of Luck

Number of posts : 130
Age : 35
Location : karachi, pakistan
Registration date : 2008-07-04

http://www.hizbollah.tv

Back to top Go down

Nazbardari Ya Kotahe Empty Re: Nazbardari Ya Kotahe

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum